Chalo tum chor do mujh ko
Main wapies lot jata hoon.
Tumhain
manzil mubarak ho.
Naya saathi mubarak ho.
Magar phir aey mere
humdam
mujhy itna to batla do…..?
K wapies kis taraf
jaon….?
Kahan se saath laye thay…?
Mujhay itna to samjha
do…?
Agar aisa nahi mumkin….
To muj ko is tarah
torro
Kay main yaksar bikhar jaon
Bhataknay
se to behtar hai
Tumharay pass marr jaon…..!!!!!!
No comments:
Post a Comment