Meri aankhon me nami ka he smaan rehta hai,
DiL me ik dard jo muddat sy jawaan rehta hai,
Wo jo kehta tha k bichrein gy to mar jaein gy,
Ab ye maloom nhi ha, wo kahan rehta hai,
Aik us ko meri chahat ki zroorat na rahi,
Warna mera to talbgar jahan rehta hai,
Wo samjhta ha k main bhool gaya hon us ko,
Khud sy bhi ziyada mujhy jis ka dehaan rehta hai,
Youn udasi mery sir pr ha musalsal,
Jesy dil py koi zakhmon ka nishan rehta hai...
No comments:
Post a Comment