Saturday, 5 November 2016

Mohabbat mein koi farmayesh na karna...


Mohabbat mein koi farmayesh na karna
Meri ghurbat ki phir numayesh na karna


Jaan to muskura kar doon ga agarcha ho
Wafa ke naam par hijar Azmayesh na karna


Khawbon ki tabeer ki badal jaati hai
Kabhi khwbon ki khawish na karna


Ankhon mein paani dekh kar jal na jaye
Dekhna samundar ke kareeb rehaysh na karna


Tu nahin pas magar dil mein mere shakir
In faslon ki kabhi pemayesh mat karna...

No comments:

Post a Comment