Tuesday, 8 November 2016

Tanhai Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha...

Mohsin Naqvi



Tanhai Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha


Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay
Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha


Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha


Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha


Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha


Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha
Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha


Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko "Mohsin"
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha...

No comments:

Post a Comment