Saturday, 12 November 2016

Tum mein pehli si wo baat Nahi...

Suno!! Usay kahna,


Tum mein pehli si wo baat Nahi,

Main ne kaha
Zindagi mein jo Tera saath Nahi.

Usne kaha
Ab bhi kisi ki Ankhu me doob jate ho?

Main ne kaha
Ab kisi bi Aankh mein wo baat Nahi.

Usne kaha
Kyun itna toot kar chaha mujhe ?

Main ne kaha
Insan hon aakhir patthar zaat Nahi.

Usne kaha Kiya main bewafa hoon ?

Main ne kaha
Mujhe ab wafa ki talash he Nahi.

Usne kaha
Bhool jao ge mujhko?

Main ne kaha
“TUM” haqiqat ho koi khwab Nahi...!

No comments:

Post a Comment